24 Arihanto ke naamkaran ke pichhe ke kaaran..
1
Pratham rishabh ka swapna aur lanchan dekhkar..
Rishabh naam pada !
2
Chopat paase ke khel mein garbh ke prabhav se raja rani ki jeet hui isliye..
Ajit naam pada !
3
Desh mein dhan dhanya ka samuh mein utpan huto dekhkar..
Sambhav naam pada !
4
Garbh ke samay indro ne aakar bar bar abhinandan kiya isliye..
Abhinandan naam pada !
5
Raj kaariya me kuch problem ke karan rani ko kuch sumati suji isliye..
Sumati naam pada !
6
Padma kamal ki saiya pe sone ka dohad utpan hua aur padma ke samman sharir dekhkar..
Padmaprabhu naam pada !
7
Rani ke sparsh se raja ki pasaliya sidhi ho gayi isliye..
Suparshwa naam pada !
8
Chandrama khaane ke dohad se aur chandra ke samman sarir dekhkar..
Chandraprabhu naam pada !
9
Rani ko subuddhi hui aur pushp ke samman dant dekhkar..
Suvidhi aur Pushpadant naam pada !
10
Rani ke hath ke sparsh se raja ka dahjwar rog hatne se..
Sheetalnath naam pada !
11
Bahut logo ka shreya karne se aur devadhi saiya saayan karne se..
Shreyansh naam pada !
12
Vasuindra ne vasudravya ki vrusti ki isliye..
Vasupujya naam pada !
13
Garbh mein aane par mata ki buddhi nirmal hone se..
Vimalnath naam pada !
14
Raja Sihasen ne anant balshaali shatru ki sena ko jeet liya isliye..
Anantnath naam pada !
15
Mata pita ko dharm par dhrad priti hone ke karan..
Dharmnath naam pada !
16
Desh me mahamari ka updrav sant hone ke karan..
Shantinath naam pada !
17
Garbh me mata ne kunthu naam ka ratnasanchay dekha isliye..
Kunthu naam pada !
18
Mata ko garbh me Ratnamay aara dikha isliye..
Arnath naam pada !
19
Mata ne sabhi ruthu ki mala pehni isliye..
Mallinath naam pada !
20
Bahut bolne wali mata ne garbh mein maun rehne ke kara..
Munisuvrat naam pada !
21
Sab vairiyo ke namhe jane se..
Naminath naam pada !
22
Aristha ratna ki nidhi swapna mein dekhne ke karan..
Aristhanemi naam pada !
23
Andhkaar mein sarp ko paas se jaate dekhkar..
Parsva naam pada !
24
Rajya me dhan dhanya ki vrudhi dekh..
Vardhman naam pada !
BEST REGARDS:- ASHOK SHAH & EKTA SHAH
LIKE & COMMENT - https://jintirthdarshan.blogspot.com/
THANKS FOR VISITING.
I preferred the article Naamkaran Cast. i'm very enjoyed reading each one of the articles distributed on your web site. each one of the credits to the creator of the post. The article on your web site is high created. i am entirely gotten a kick out of wanting into the articles. i'm deeply inquisitive about articles on shifted subjects and expressions. i'm super tangled and can audit your web site for the duration of. confusing articles on your web site legitimizes the interest. this is often a staggering little bit of work. I fully welcome the appropriate quality structure on this web site.
ReplyDelete