18 Lord Mahavir Quotes
#1 Quote
हिंदी: किसी भी आत्मा की सबसे बड़ी भूल यही है कि वे अपने असली रूप को नहीं पहचान पाती, और यह भूल ठीक करने के लिए उसे अपने आप को जानना बहुत जरुरी हैं.
Hindi: Kisi bhi aatma ki sabse badi bhul yahi hai ki ve apne asli rup ko nahi pehchan pati, aur yah bhul thik karne ke liye use apne aap ko janna bahut jaruri hain.

#2 Quote
हिंदी: ईश्वर का कोई अलग अस्तित्व नहीं होता. अगर हम चाहे तो सही दिशा में आगे बढ़ते रहने से, हम भी देवो जैसी शक्तियां प्राप्त कर सकते हैं.
Hindi: Ishwar ka koi alag astitva nahi hota. Agar hum chahe toh sahi disha me aage badhte rehne se, hum devo jesi shaktiyan prapt kar skte hain.

#3 Quote
हिंदी: प्रत्येक आत्मा खुद में ही सर्वज्ञ और आनंदित रहती है, और उसे वो आनंद कही बाहर से प्राप्त नहीं होता.
Hindi: Pratyek aatma khud me hi sarvagya aur anandit rehti hai, aur use vo anand kahi bahar se prapt nahi hota.

#4 Quote
हिंदी: सभी जीवों के प्रति प्रेम और दया की भावना रखो, क्योंकि नफरत तो हमेशा विनाश की और ले जाती हैं.
Hindi: Sabhi jeevo ke prati prem aur daya bhavna rakho, kyonki nafrat toh humsha vinaash ki aur le jati hain.

#5 Quote
हिंदी: सभी जीवो का अगर हम सम्मान करे, तो वो भी एक अहिंसा का रूप हैं.
Hindi: Sabhi jeevo ka agar hum samman kare, toh vo bhi ek ahinsa ka rup hain.

#6 Quote
हिंदी: सभी मनुष्य अपनी ही गलतियों की वजह से दुखी होते हैं, और वे स्वयं ही अपनी गलतियाँ सुधार कर खुदको प्रसन्न कर सकते हैं.
Hindi: Sabhi manushya apni hi galtiyon ki vajah se dukhi hote hain, aur ve swayam hi apni galtiyan sudhaar kar khudko prasann kar sakte hain.

#7 Quote
हिंदी: जो स्वयं पर विजय प्राप्त कर ले, उन्हें ही असली आनंद की प्राप्ति होती हैं.
Hindi: Jo swayam vijay prapt kar le, unhe hi asli anand ki prapti hoti hain.

#8 Quote
हिंदी: आपकी आत्मा के अलावा आपका कोई दुश्मन नहीं है. क्योंकि असली दुश्मन तो आपके भीतर ही रहते हैं, वो है- गुस्सा, घमंड, लालच और नफरत.
Hindi: Apki aatma ke alawa apka koi dushman nahi hai. Kyonki asli dushman toh apke bhitar hi rehte hain, vo hai- gussa, ghamand, laalach aur nafrat.

#9 Quote
हिंदी: खुदपर जीत पा लेना, लाखों दुश्मनों पर जीत पाने से कई गुना बेहतर हैं.
Hindi: Khudpar jeet paa lena, laakho dushmano par jeet paane se kai guna behtar hain.

#10 Quote
हिंदी: आत्मा अकेले आती है, और अकेले ही चली जाती है, ना ही उसका कोई साथ देता है, और ना ही उसका कोई दोस्त बनता हैं.
Hindi: Aatma akele aati hai, aur akele hi chali jati hai, naa hi uska koi sath deta hai, aur naa hi uska koi dost banta hain.

#11 Quote
हिंदी: किसी भी जीव की हत्या ना करे, किसी को ठेस ना पहुचाएं, क्योंकि अहिंसा ही सबसे बड़ा धर्म माना जाता हैं.
Hindi: Kisi bhi jeev ki hatya naa kare, kisi ko thes na pahuchayen, kyonki ahinsa hi sabse bada dharm mana jata hain.

#12 Quote
हिंदी: सुख हो या दुःख, हमे हर जीव-जंतु के साथ वैसी ही भावना रखनी चाहिए जैसी हम अपने खुदके प्रति रखते हैं.
Hindi: sukh ho ya dukh, hume har jeev-jantu ke sath vesi hi bhavna rakhni chahiye jesi hum apne khudke prati rakhte hain.

#13 Quote
हिंदी: प्रत्येक जीव आज़ाद है. कोई किसी और पर निर्भर नहीं रहता.
Hindi: Pratyek jeev aazad hai. Koi kisi aur par nirbhar nahi rehta.

#14 Quote
हिंदी: अहिंसा ही सबसे बड़ा धर्म हैं.
Hindi: Ahinsa hi sabse bada dharm hain.
Hindi: Ahinsa hi sabse bada dharm hain.
#15 Quote
हिंदी: आपने अगर कभी किसी का भला किया हो तो उसे भूल जाओ. और कभी किसी ने आपका बुरा किया हो तो उसे भूल जाओ.
Hindi: Apne agar kabhi kisi ka bhala kiya ho toh use bhul jaao. Aur kabhi kisi ne apka bura kiya ho toh use bhul jaao.

#16 Quote
हिंदी: कभी भी किसी भी व्यक्ति के अस्तित्व को मत मिटाओ. बस शांतिपूर्वक जियो और दूसरो को भी जीने दो.
Hindi: Kabhi bhi kisi bhi vyakti ke astitva ko mat mitao. Bas shantipurvak jiyo aur dusro ko bhi jeene do.

#17 Quote
हिंदी: सुखी जीवन जीने के लिए दो बातो का ध्यान रखो- 1. अपनी मृत्यु, 2. भगवान.
Hindi: Sukhi jeevan jeene ke liye do baato ka dhyan rakho- 1. Apni mrityu, 2. Bhagwaan.

#18 Quote
हिंदी: सुख हो या दुःख आपका मन कभी डगमगाना नहीं चाहिए.
Hindi: Sukh ho ya dukh apka man kabhi dagmagana nahi chahiye.
BEST REGARDS:-
ASHOK SHAH & EKTA SHAHHindi: Sukh ho ya dukh apka man kabhi dagmagana nahi chahiye.
LIKE & COMMENT - https://jintirthdarshan.blogspot.com/
THANKS FOR VISITING.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.