ॐ ह्रीँ श्री शंखेश्वरपार्श्वनाथाय नम: દર્શન પોતે કરવા પણ બીજા મિત્રો ને કરાવવા આ ને મારું સદભાગ્ય સમજુ છું.........જય જીનેન્દ્ર.......

24 bhagwan ke peeche naamkaran ke karan




24 bhagwan ke peeche naamkaran ke karan

1pratham rishab ka swapna aur lanchan dekhkar rishab naam pada

2chopat pase ke khel me garbh ke prabhav se raja rani ki jeet hoti isliye Ajit naam pada

3Desh me dhan dhanya ka samuh me utpan hua dekhkar Sambhav naam pada

4Garbh ke samay indro ne aakar barbar abhinandan kiya isliye Abhinandan naam pada

5Rajkariya me kuch problem ke karan rani ko kuch sumati suji isliye Sumati na pada

6Padma kamal ki saiya per sone ka dohad utpan hua aur padm ke saman sarir dekhkar Padma naam pada

7Rani ke sparsh se raja ki pasaliya sidhi ho gayi isliye Suparsva naam pada

8Chandrama khane ke dohad se aur chandra ke saman sarir dekhkar Chandraprabu naam pada

9Rani ko subudhi hui aur puspa ke saman dant dekhkar Suvidhinath aur puspadant naam pada

10Rani ke hath ke sparsh se raja ka dahjwar rog hatne se Sheetalnath naam pada

11bahut logo ka sreya karne se aur devadhi saiya sayan karne se Sreyans naam pada

12Vasuindra ne vasudravya ki vrusti ki isliye Vasupujya naam pada

13Garbh me aane per mata ki budhi nirmal hone se Vimalnath naam pada

14RajaSihasen ne anant balsali satru ki sena ko jeet liya isliye Anantnath naam pada

15Mata pita ko dharm per dhrad priti hone ke karan Dharmnath naam pada

16Desh me mahamari ka updrav sant hone ke karan Shantinath naam pada

17Garbh me mata ne kunthu naam ka ratnasanchay dekha isliye Kunthu naam pada

18mata ko garbh me Ratnamay aara dikha isliye Arnath naam pada

19.mata ne sabhi ruthu ki mala pehni isliye Mallinath naam pada

20Bahut bolne wali mata ne garbh me maun rehne ke karan Munisuvrat naam pada

21sab vairiyo ke namhe jane se Naminath naam pada

22Aristha ratna ki nidhi swapna me dekhne ke karan Aristhanemi naam pada

23Andkar me sarp ko pass se jate dekhkar Parsva naam pada

24Rajya me dhan dhanya ki vrudhi dekh Vardhman naam pada!

BEST REGARDS:- ASHOK SHAH & EKTA SHAH
LIKE & COMMENT - https://jintirthdarshan.blogspot.com/
THANKS FOR VISITING.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.