1.ANG SHUDHI:-manaveeya kaya malmootr, pasieena, thuk, Las, balgam, aur dhool aadi se sada Malin hoti rahati hai! Ath jayana poorvak snaan vidhi se shreer shadhi karne ke baad hi paramatma ka sprsh karna hi angshudhi hai (yadi shareer mai ghavadi ho usme satat marvadi pravahit ho raha ho to jinpuja nahi karni chahiye)!
2.vastrshudhi:- vastr aur vicharon ka praghad samband hai! Isliye kaha jata hai, Malin vesh bhi malinata utpan karte hai! Usee prakar man ki shudhi mai nirvikar vesh bhi karan bante hai Ath puja ke vastr shastro mai bataye anusar ujjval aur shudh vastr prayog mai lane chahiye! Upyog ke baad pratideen unkee safai aavshyk hai!
3.MANASHUDHI:- paramatma ki puja karte hoye man ko shudh rakna chahiye! Iskeliye man ko Malin karnevale kashyo ke parinamo se, durvicharo se dur rahana chahiye! Sabhi samagreeya shudh rahe kintu man mai shudhta ke bhav na ho tho sab kuch vyrth ho jayega!
4. BHOOMISHUDHI:- JIN MANDIR jate samay marg mai evm Jin mandir mai pravesh ke pashchath tatha chityvandan aadi vidhi karne ke purv Jin mandir mai rahe kachre aadi ko dur karna BHOOMISHUDHI hai!
5. UPKARANSHUDHI:- paramatma ki puja mai prayukt kiye Jane vale sare upkaran ka nirman uchhshreni ki dhatuo se karna jaise svrna, rajat, tambha aadhi! Usi prakar inhe upyog mai lenese purv achi tarh se saf kar lena chahiye! Paramatma ke angloochhne bhi komal, utahm vastro se bane hone Chahiye!
6. DRAVY Shudhi:- paramatma ki puja mai upyog karne yogy samagree ke kram mai tatha abhishek aadhi utsav mai nyayoparjit dhan ka upyog karna chahiye!
7.VIDHI SHUDHI :- paramatma ki puja tatha chityvandan aadhi ki shastrokt vidhipurvak shudhbhavo ke trikarn
yog se karni chahiye! Pramad avidhi, aashatana aadhi dosho ko Kahi bhi pravesh karne nahi Dene chahiye!
BEST REGARDS:-
ASHOK SHAH & EKTA SHAH2.vastrshudhi:- vastr aur vicharon ka praghad samband hai! Isliye kaha jata hai, Malin vesh bhi malinata utpan karte hai! Usee prakar man ki shudhi mai nirvikar vesh bhi karan bante hai Ath puja ke vastr shastro mai bataye anusar ujjval aur shudh vastr prayog mai lane chahiye! Upyog ke baad pratideen unkee safai aavshyk hai!
3.MANASHUDHI:- paramatma ki puja karte hoye man ko shudh rakna chahiye! Iskeliye man ko Malin karnevale kashyo ke parinamo se, durvicharo se dur rahana chahiye! Sabhi samagreeya shudh rahe kintu man mai shudhta ke bhav na ho tho sab kuch vyrth ho jayega!
4. BHOOMISHUDHI:- JIN MANDIR jate samay marg mai evm Jin mandir mai pravesh ke pashchath tatha chityvandan aadi vidhi karne ke purv Jin mandir mai rahe kachre aadi ko dur karna BHOOMISHUDHI hai!
5. UPKARANSHUDHI:- paramatma ki puja mai prayukt kiye Jane vale sare upkaran ka nirman uchhshreni ki dhatuo se karna jaise svrna, rajat, tambha aadhi! Usi prakar inhe upyog mai lenese purv achi tarh se saf kar lena chahiye! Paramatma ke angloochhne bhi komal, utahm vastro se bane hone Chahiye!
6. DRAVY Shudhi:- paramatma ki puja mai upyog karne yogy samagree ke kram mai tatha abhishek aadhi utsav mai nyayoparjit dhan ka upyog karna chahiye!
7.VIDHI SHUDHI :- paramatma ki puja tatha chityvandan aadhi ki shastrokt vidhipurvak shudhbhavo ke trikarn
yog se karni chahiye! Pramad avidhi, aashatana aadhi dosho ko Kahi bhi pravesh karne nahi Dene chahiye!
LIKE & COMMENT - https://jintirthdarshan.blogspot.com/
THANKS FOR VISITING.
This article are supper help full if you want to know more about band for marriage then please click here.
ReplyDelete